Himmat Karne Walon ki haar nahi hoti
laharon se dar kar naiya paar nahi hoti!
nanhi chinti jab daana le kar chalti hai
chadhati diwaron par sau baar fisal ti hai
man ka vishwas ragon me saahas bharata hai
chadh kar girna, gir kar chadhana na akharata hai
aakhir usaki mehanat bekar nahi hoti
koshish karane walon ki haa nahi hoti
dubkiyan sindhu me gotakhor lagaate hai
jaa jaa kar khaali haath laut aata hai
milate na sahaj hi moti paani me
baghata duna ulhas hansi hairani me
mutthi uski khali har baar nahi hoti
himmat karne waalon ki haar nahi hoti
asafalata ek chunaiti hai, swikar karo
kya kami rah gayi, dekho aur sudhar karo
jab tak na safal ho, neend chain se tyago tum
sangharsh karo maidan chodo mat bhaago tum
kuch kiye bina hi jay jaykaar nahi hoti
himmat karne waalon ki haar nahi hoti
No comments:
Post a Comment