Showing posts with label Movie. Show all posts
Showing posts with label Movie. Show all posts

Thursday, October 16, 2008

Tare Zameen Par


Main Kabhi Batlata Nahin,
Par Andhere Se Darta Hoon Main Maa
Yun To Main,Dikhlata Nahin
Teri Parwaah Karta Hoon Main Maa
Tujhe Sab Hai Pata, Hai Na Maa
Tujhe Sab Hain Pata…Meri Maa

Bheed Mein Yun Na Chodo Mujhe
Ghar Laut Ke Bhi Aa Naa Paoon Maa
Bhej Na Itna Door Mujhko Tu
Yaad Bhi Tujhko Aa Naa Paoon Maa
Kya Itna Bura Hoon Main Maa ..
Kya Itna Bura ..Meri Maa

Jab Bhi Kabhi Papa Mujhe
Jo Zor Se Jhoola Jhulaate Hain Maa
Meri Nazar Dhoondhe Tujhe
Sochu Yahi Tu Aa Ke Thaamegi Maa

Unse Main Yeh Kehta Nahin
Par Main Seham Jaata Hoon Maa..
Chehre Pe Aane Deta Nahin
Dil Hi Dil Mein Ghabraata Hoon Maa..
Tujhe Sab Hai Pata Hai Naa Maa
Tujhe Sab Hai Pata … Meri Maa

Main Kabhi Batlata Nahin
Par Andhere Se Darta Hoon Main Maa
Yun To Main,Dikhlata Nahin
Teri Parwaah Karta Hoon na Maa
Tujhe Sab Hain Pata, Hain Na Maa
Tujhe Sab Hain Pataaa,,Meri Maa …..

Listening to : Jhonka Hava ka from Hum Dil De Chuke Sanam

Jhonka Hava Ka Aaj Bhi Zulfein Udaata Hoga Na
Tera Dupatta Aaj Bhi Tere Sar Se Sarakta Hoga Na
Baalon Mein Tere Aaj Bhi Phool Koi Sajta Hoga Na
Thandi Havaein Raaton Mein Tujhko Thapkiya Deti Hogi Na
Chaand Ki Thandak Khwaabon Mein Tujhko Leke To Jaati Hogi Na
Sooraj Ki Kirnen Subah Ko Teri Neendein Udaati Hogi Na
Mere Khayaalon Mein Sanam Khud Se Bhi Baatein Karti Hogi Na
Main Dekhta Hoon Chhup Chhupke Tumko Mehsoos Karti Hogi Na
Jhonka Hava Ka Aaj Bhi Zulfein Udaata Hoga Na

Tadev Lagnam Suridam Tadevah
Naarabalam Chandra Balan Tadevah
Vidya Balam Daiv Balan Tadevah
Lakshmi Pati Tendra Yugam Swarami
Shubmangalah Sawadha

Kaagaz Pe Meri Tasveer Jaisi Kuchh To Banati Hogi Na
Ulat Palatke Dekh Ke Usko Jee Bhar Ke Hansti Hogi Na
Hanste Hanste Aankhein Tumhari Bhar Bhar Aati Hogi Na
Mujhko Dhaka Tha Dhoop Mein Jisse Vo Aanchal Bhigoti Hogi Na
Saawan Ki Rimjhim Mera Taraana Yaad Dilati Hogi Na
Ek Ek Meri Baatein Tumko Yaad To Aati Hogi Na
Yaad To Aati Hogi Na
Yaad To Aati Hogi Na
Kya Tum Mere In Sab Sawaalon Ka Kuchh To Jawaab Dogi Na

Wednesday, October 15, 2008

Maine Gandhi Ko Nahi Mara



Lahron Se Darr Kar Nauka Paar Nahin Hoti
Himmat Karne Walon Ki Haar Nahin Hoti

Nanhiin Chiteen Jab Daana Lekar Chalti Hai
Chadhti Deewaron Par Sau Baar Phisalti Hai
Mann Ka Vishwaas Ragon Mein Saahas Bharta Hai
Chadh Kar Girna, Girkar Chadhna Naa Aakarta Hai
Aakhir Uski Mehnat Bekaar Nahin Hoti
Koshish Karne Walon Ki Haar Nahin Hoti

Dubkiyaan Sindhu Mein GotaKhor Lagaata Hai
Jaa Jaa Kar Khaali Haath Laut Aata Hai
Milte Na Shahaj Moti Paani Mein
Behta Doona Utsaah Isi Hairaani Mein
Muthi Uski Khaali Har Baar Nahin Hoti
Himmat Karne Walon Ki Haar Nahin Hoti

Asafalta Ek Chunauti Hai Sweekaar Karo
Kya Kami Reh Gayi Dekho Aur Sudhaar Karo
Jab Tak Na safal Ho Neend Chaain Ko Tyaago Tum
Sangharshon Ka Maidaan Chhodh Mat Bhaago Tum

Kucch Kiye Bina Hi Jai Jai Kar Nahin Hoti
Himmat Karne Walon Ki Haar Nahin Hoti  

Monday, September 29, 2008

A Wednesday: Must See Movie

Wow!!!!!!!! Ultimate movie i have seen so far, It is unique, one of its kind.
The last monologue by Nasir was well written and really thought provoking.

Watch a part of it here.


“An ace shooter wins Gold and Government gives him 1+ crore.

Another ace shooter dies fighting terrorists and Government pays him 5 lakhs.

Guess the real winner !!”

I know the comparison is very difficult to make, but why we don't honor the people who die to save us? Why we tolerate so many things? Why we get used to it so easily?Why can't we fight back for the right thing?

Let me know your ideas and views.