Thursday, October 16, 2008

Tare Zameen Par


Main Kabhi Batlata Nahin,
Par Andhere Se Darta Hoon Main Maa
Yun To Main,Dikhlata Nahin
Teri Parwaah Karta Hoon Main Maa
Tujhe Sab Hai Pata, Hai Na Maa
Tujhe Sab Hain Pata…Meri Maa

Bheed Mein Yun Na Chodo Mujhe
Ghar Laut Ke Bhi Aa Naa Paoon Maa
Bhej Na Itna Door Mujhko Tu
Yaad Bhi Tujhko Aa Naa Paoon Maa
Kya Itna Bura Hoon Main Maa ..
Kya Itna Bura ..Meri Maa

Jab Bhi Kabhi Papa Mujhe
Jo Zor Se Jhoola Jhulaate Hain Maa
Meri Nazar Dhoondhe Tujhe
Sochu Yahi Tu Aa Ke Thaamegi Maa

Unse Main Yeh Kehta Nahin
Par Main Seham Jaata Hoon Maa..
Chehre Pe Aane Deta Nahin
Dil Hi Dil Mein Ghabraata Hoon Maa..
Tujhe Sab Hai Pata Hai Naa Maa
Tujhe Sab Hai Pata … Meri Maa

Main Kabhi Batlata Nahin
Par Andhere Se Darta Hoon Main Maa
Yun To Main,Dikhlata Nahin
Teri Parwaah Karta Hoon na Maa
Tujhe Sab Hain Pata, Hain Na Maa
Tujhe Sab Hain Pataaa,,Meri Maa …..

2 comments:

Anonymous said...

Whats the reason that all the 17 commentators have weird names,and y they comment similarly

Kiran Kumar said...

I am surprised to see so many comments on this post.BTW thanks to all for sharing your views.