Friday, January 18, 2013

Jhanda Uncha Rahe Hamara





jhanda uncha rahe hamara
vijayi vishw tiranga pyara (2)


sada shakti sarsaane wala
prem sudha barsaane wala
viro ko harshaane wala
matrbhumi ka tan-man sara (2)


jhanda uncha rahe hamara
vijayi vishw tiranga pyara


swatantrta ke bhishan ran me
lakh kar josh badhe kshan kshan me
kaanpe shatru dekh ke man me 
mit jaye bhay sankat sara(2)


jhanda uncha rahe hamara
vijayi vishw tiranga pyara (3)


is jhande ke niche nirbhay
lekar aaja yaha avichal nishchaya..
bolo bharat mata ki jay
swatantrta he dhyey hamara (2)


jhanda uncha rahe hamara
vijayi vishw tiranga pyara


Aaoo pyare veeron aaoo,
desh-dharm par bali bali jao
Ek saath sab milkar gaao,
pyara Bharat desh hamara; (2)


jhanda uncha rahe hamara
vijayi vishw tiranga pyara (2)


is ki shan na jane paye
chahe jan bhale hi jaye
vishw vijay kar ke dikhalaye
tab howe pran purn hamara (2)


jhanda uncha rahe hamara
vijayi vishw tiranga pyara




Sadaa shakti sarsaane vala,
prem sudha barsaane vala
Veeron ko harshaane vala,
matribhoomi ka tan-man sara; (2)


jhanda uncha rahe hamara
vijayi vishw tiranga pyara (3)

No comments: